Ishq ka hasil aur jama

Ishq ka hasil aur jama.

 

6 Hair bands. 4 alag alag tarah ki baalon wali Clips.

Woh… uss din jo sandal tuti thi tumhari, Uska Ek strap.

Aur haan Woh kitaab jiske panne mod kar diye they tumne.

Sambhal rakha hai maine sab, Jab aaogi toh le jaana.

 

Waise chote bade mila kar, kuch 23 kapde bhi pade hai tumahre.

Unme se, kuch me tum bala ki haseen lagi.

jaise woh red wala top aur Black wali dress.

Woh baby pink crop top aur woh green jump suit.

Sab yahin pada hai.

 

toh mai bas yeh keh raha tha ki kharid lena na waisa sa hi kuch kahi se..

kyunki, Sach kahu toh Lautane ka Dil nahi karta mera.

 

Nahi Nahi Mazak kar raha hoon, Sambhal rakha hai maine sab, Jab aaogi toh le jaana.

Waise kuch hisab bhi dena tha tumko, Jo tumhari meri Tasveer wala, Coffee mug diya tha tumne.

Uska handle tut gaya hai mujhse. Blue wali shirt bhi peechel 2 hafton, Mil nahi rahi hai kahin par aur..

Perfume khatam ho gaya hai.

Ghadi khoyi nahi hai par band ho gayi thi. Isliye utar rakhi hai, bas bata raha hoon tumhe.

Woh Green wali check shirt dhobi ne jala di.

Woodland wale joote Zeeshan le gaya.

tumhare diye Earphones aur Chashma, ek din Airport par jaldbaazi me chhut gaye.

bahut dhunda, nahi mile.

 

Par Woh sukha hua Gulaab ke phoolo ka guladasta.

tumhari lipstick ke nishaan wala paper cup.

Woh tissue paper jis par tumne number likh kar diya tha, tumhari car parking ki parchiya.

Woh Tute hue Clutcher ke Dono hisse. tumahre more pankh wale jhumke.

Aur mai….

 

yeh sab kuch jo bhool gayi thi tum, ya shayad jaankar chhoda tha tumne.

Apni jaan se bhi jayada, Sambhal rakha hai maine sab, Jab aaogi toh le jaana.

Zakir Khan

 

(continuation from Ashk)

 

Tum soch rahi hogi kya bas cheezon ka hisaab rakha hai?

Hisaab har jazbaat ka hai jo tumse juda hua hai..

 

Wo jo pahli baar tum yu itraai thi aur meri shayri pe yu muskurai thi

Wo jab tumne pahli baar thaama tha haath mera Wo jab pahli baar meri aaghosh me aayi thi..

 

Hisaab un jazbaat kaa bhi hai jab tum toot toot ke roi thi hamaari pahli ladaai ke baad..

Hisaab un jazbaat ka bhi hai jab badi berukhi se chhoda tha tumne mera saath..

 

Main yu to yaad dilaana nahi chaahta tha par ammi kahti hai 77 raate mere kamre se rone ki aawaze aati thi..

Abbu kuchh kahte nahi par ab wo bewajah yoon hi daantate bhi nahi..

Baap hai na wo har haal jaan ke bhi khaamoshi akhtiyaar karna farz hai unka..

Bahen bhi badi sanjeeda rahti hai meri chehre ki maayusi dekh kar par wo pagli aksar mujhe hasaane ki koshish kar jaati hai..

 

Ye to bas kuchh chuninda jazbaat hai jo socha tumhe bata doon

Hisaab nahi lunga tumse mere Ashkon ke qatro ka

Naa hi hisaab lunga tumse wo laayani farebi mohabbat ka

 

Tum dogi bhi kya hisaab ke apni mohabbat to bas meri akele ki kahani thi

Usme thi to tum naam ko shaamil magar tumhare har jazbaat me beimaani thi..

 

To jaao, aur jaake khush raho kahi par

jaha tumhe lage yehi hai tumhare zindagi ki manzeel

 

Par haan, Jab aaogi palatkar waapas to le jaana ye jazbaat bhi,

ke maine sambhal rakhkha hai tere liye..

Jab aaogi to le jaana..

 

Ashk Nigahee

What's on your mind?