Wo aur Mai..
Wo aati hai roz ek sadaa lekar
Khilkhilati hasee aur adaa lekar
Sunaati hai daastan aur qisse, fasaane
Kuchh Bekhudi me dube aur kuchh madhosh taraane..
Use kahna, kai hai jo hote hai muntazir uski aamad ke
Kai hai jo bichhate hai palke uski raaho pe
Kai hai jo kahte hai wo karte hai usse bepanah mohabbat
Kai hai jo daawa karte hai ki iske baghair unki subah sunee sunee si rahti hai
Magar,
Magar mai wo hoon jisne use roobaroo dekha hai..
Jab wo qaatilana muskaan bikher rahi thi
Jab wo bas yuhi zameen pe baithi apne gesuo ki late ulza rahi thi
Mai tha waha jab ek haseen mehfeel me bhi wo gum thi kahi khayalo me apne
Mai tha waha jaha usne raat ko thaam liya tha aur chand taare jaise ruk se gaye the aur wo bas muskuraahaten bikhere jaa rahi thi..
Wo kahti hai khushiya baatne se wo thakti nahi
Wo kahti hai k ek nahar hai wo jo kabhi rukti nahi
Par usse kahdo
Mai wo hoon jisne use qaid kar liya hai use.
tasweero me aur apne dil me, hamesha ke liye…
Dedicated to one of the most amazing RJs I have ever known!!
©Ashk
Ohooooo…BTW mast hai…. Vobhi or ye bhi
LikeLike