Dedh Ishqiya Poetry

The day I saw the movie Dedh Ishqiya I thought of penning down all the ashaar from the movie.
Finally here is the feast of all of them for you guys. All credts to origanal Shayar. I wished if I could translate them all in English for my non Urdu readers but I’m afraid I may not justify the original depth of meaning which the shayar meant. Here they go.

Tum tanhaa duniya se ladoge bachcho si baat karte ho…

Aap ko pahle kahi dekha hai.
Yaad aaye kaha to italla zaroor kijiyega, ham bhi dhund rahe hai kabse apne aap ko..
(italla=inform)

Yaha libas ki kimat hai aadmi ki nahi
muze gilaas badaa de, sharaab kam kar..
(libas=clothes)

sawar nok palak abruo me kham kar de
gire pade hue lafzo ko mohtaram kar de..

jab maine use khaas nigaahe naas se dekha
aaina fir usne naye andaaz se dekha..

charag jalaate hi Poras ki fauj bhaag gayi
gali me tanhaa Sikandar udaas baitha tha..

wahi taaj hai, wahi takht hai
wahi zahar hai wahi jaam hai
ye wahi Khuda ki zameen hai,
yahi buton ka nizaam hai
bade shauk se mera ghar jalaa
koi aanch tuz par naa aayegi
ye zabaan kisi ne khareed li
ye kalam kisi ka ghulaam hai….

naa bolu mai to kaleja fuke
jo bol du to zabaan jale hai
sulag naa jaawe agar sune wo
jo baat meri zabaan tale hai
naa bolu mai to kaleja fuke
jo bol du to zabaan jale hai
lage to fir yu ke rog laage
naa saans aawe naa saans jaawe
ye ishq hai naamuraad aisa
ke jaan lewe tabhi tale hai
naa bolu mai to kaleja fuke
jo bol du to zabaan jale hai

Hame lagtaa tha ke aap jaise aashik sirf filmo me hi paaye jaate hai, Dua hai ke Allahmiya hame aapki ishq-e-shiddat ataa kare…

Hamaree is duniya me zindagee thamee si rahtee hai, kabhi aaiyega boot banke baithenge..
(boot=statue)

And Finally the most acclaimed sher,

Ishq ke saat makaam hote hai,

“dilkashi, uns, muhabbat, akidat, ibaadat, junoon aur maut”…

10 thoughts on “Dedh Ishqiya Poetry

  1. charag jalaate hi Poras ki fauj bhaag gayi
    gali me tanhaa Sikandar udaas baitha tha..
    could you please translate this part?

    Like

    • This translation gave me headache, literally!! but http://en.wikipedia.org/wiki/Battle_of_the_Hydaspes_River came as a help.

      My timid efforts of translation are as below.

      No sooner the lamps were lit, Poras’ infantry ran away. The lone Alexander was sitting dismayed.

      Corollary
      The poet may have thought to depict the idea that how much acquainted the situation looks to you but even that can decay and you may be overpowered by externals however victory is not always pleasant when its achieved on the cost of precious things.

      Feel free to correct me 🙂

      Like

  2. and please, translation for this one too…
    Yaha libas ki kimat hai aadmi ki nahi
    muze gilaas badaa de, sharaab kam kar..
    thank you in advance 🙂
    (I wish that you had given us the chance to have that translation you were thinking of… 😦 )

    Like

  3. What was that if anyone knows

    GuloN pe likhti huwi La ilaha Ilalah
    PahariyuN se utarti huwi azan ki khushbu

    I couldn’t hear it properly, help please 🙂

    Like

    • Chamak rahi hai paron mein udan ki khushboo
      Bula rahi hai bahut aasman ki khushboo

      Bhatak rahi hai purani dulaiyan odhe
      Haweliyon mein mire khandan ki khushboo

      Suna ke koi kahani hamein sulati thi
      Duaon jaisi bade paandan ki khushboo

      Ajab viqar tha sookhe sunahre baalon mein
      Udasiyon ki chamak zard laan ki khushboo

      Wo itrdaan sa lehja mire buzurgon ka
      Rachi basi hui Urdu zaban ki khushboo

      Khuda ka shukr hai mere jawaan bate key
      Badan se ane lagi hai zaafran ki khusboo

      Imarton ki bulandi pe koi mausam kya
      Kahan se aagyi kachche makan ki khushboo

      GuIon pe likhti hui lailaha illallah
      Pahadiyon se utarti azan ki khusboo

      Like

What's on your mind?