Sochta hu use nind bhi aati hogi
Ya meri tarah wo bhi har raat pawwa chadhati hogi
Wo meri gudang-garam meri vogue chhudane wali
Apni bristol se kya aankh milati hogi
Is zamaane me bhi hai kohre huqqo se
Mere double-apple flavor ki khushbu arsh hilaati hogi..
Shaam hote hi wo hoto pe jalaake bidi
Apne labo ko aur bhi madmast banaati hogi
Isne mangwa bhi liye honge cuban cigar
Ab typical nashedi ki tarah mahfeel sajaati hogi
Hoti hogi meri tarah sutte ki talab me paagal
Jab bhi potty karne k liye roz subah wo jaati hogi
meri maujudagee me smoking room ki or bhi naa jaanewali
Wills light ki har puff tuz ko meri yaad dilaati hogee
Dil ki maasum rage khud hi silagatee hongee
Jo hi mere zippo ka laundo pe raub jamaati hogi
Dekar usme muze roop kisi cancer patient ka
Apne bachcho ko kahaaniya wo sunaati hogee….
©samir pathan
with all due respect to original poet of Sochta Hu
*smoking is injurious to health. Lol
Nice one Sam ..
wah wah…..
LikeLike