Sochta hoon ke use neend bhi aatee hogee
Ya meri tarhan faqat ASHK bahatee hogee
Woh meri shakl mera naam bhulaane wali
Apni tasveer se kya aankh milatee hogee
Is zameen per bhi hai sailaab mere ASHKon se
Mere maatam ki sada arsh hilatee hogee
(sailaab=storm arsh= God’s chair)
Shaam hote hee woh chaukhat pe jala ke shama
Apni palkon pe kaee khwab sulatee hogee
Is ne silwa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Muharram ki tarha Eid manatee hogee
(siyaah=black)
Hotee hogee mere bose ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee hogee
(bosa=kiss)
Meri tareek zamanoo se nikaalne wali
Roshni tujh ko meri yaad dilatee hogee
Dil ki masoom rage khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee hogee
(rag=vain)
De kar usme mujhe roop kisi shehzaade ka
Apne baccho ko kahaniya wo sunaati hogi…
“Is ne silwa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Muharram ki tarha Eid manatee hogee”
Maar dala bhai… nice words
LikeLike